ye sham e ashoor ka hai manzar
hai karb main itrat e payambar
jabeen pa saahil pa alqama ke
kisi ki mayyat tadap rahi hai
ye koi mehve buka hai shayad
kisi ne ammu kaha hai shayad
bada hai shayad koi sitamgar
jabeen pa saahil pa alqama ke
kisi ki mayyat tadap rahi hai
wo bholi bhali si ek bachi
najaf ki jaanib jo tak rahi thi
kisi ne cheene hai uske gohar
jabeen pa saahil pa alqama ke
kisi ki mayyat tadap rahi hai
atash se bache machal rahe hai
ye phool sholon may jal rahe hai
chaman may kumla gaye gule tar
jabeen pa saahil pa alqama ke
kisi ki mayyat tadap rahi hai
hujoom e gham se jo neem jaan hai
wohi jo bemaar o natawan hai
kisi ne kheyncha hai uska bistar
jabeen pa saahil pa alqama ke
kisi ki mayyat tadap rahi hai
rahi jo kufe ki shaahzadi
kisi ne shayad usay sada di
chini hai kausar ab uski chadar
jabeen pa saahil pa alqama ke
kisi ki mayyat tadap rahi hai