Kanz e Aza

Koi Pooche Jo Wafa

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Urooj Bijnori. Lyrics in Roman Urdu.

koi pooche jo wafa aur wafadar ki baat

bas usay yaad dila dena alamdar ki baat


waada e tifli na shabbir ka poora hota

khaiz guzri na badi ran mein alamdar ki baar

koi pooche jo...


hujjate haq se bhi jab baat na maani jaaye

tabdali karte hai talwar se talwar ki baat

koi pooche jo...


jaan di ki na magar kufr ki bayyat hargiz

rakh li is tarha se jarrar ne jarrar ki baat

koi pooche jo...


ay hussain ibne ali teri shahadat ki qasam

reh gayi taaba abad ahmed e mukhtar ki baat

koi pooche jo...


ashk namoose mohamed ke nikal padte hai

yaad aa jaati hai jab shaam ke bazaar ki baat

koi pooche jo...


nange sar ahle haram haath mein oonton ki muhaar

poochta kaun bhala abid e bemaar ki baat

koi pooche jo...


ghame shabbir hai gham saare zamane ka urooj

hai ye baat is jahan ki nahi do chaar ki baat

koi pooche jo...