wo jise maarifat e karbobala hojaye
usko salman ki beenayi ata hojaye
majlison mein chale aao ghame shabbir karo
ye to wo gham hai ke har gham ki dawa hojaye
wo jise maarifate...
dil mein boo e ghame shabbir basaye rakhna
dil ke koozon se ye khushboo na juda hojaye
wo jise maarifate...
zikre abbas e alamdar kiya kar har dam
taa ke tu waaqif e aadaab e wafa hojaye
wo jise maarifate...
sab masiha hai mohamed ke gharane waale
naam bemaar jo le le to shifa hojaye
wo jise maarifate...
aag qaimon mein layeeno ne lagadi dekho
kisi maa se koi bacha na juda hojaye
wo jise maarifate...
halq e asghar ko to pani ki zaroorat thi magar
teer se zakhmi na asghar ka gala hojaye
wo jise maarifate...
midhat e aale-mohamed mai na chodunga urooj
mujhse hota hai agar koi khafa hojaye
wo jise maarifate...