maatame shabbir ka silsila jaari rahe
sayyade mazloom ka tazkera jaari rahe
azmate islam ko tu ne bachaya hussain
jo na koi kar saka kar ke bataya hussain
himmate shabbir ka tazkera jaari rahe
dasvi moharram ke din kaisi qayamat hui
qurdokala'n sath the sabki shahadat hui
karbala walou ka ye tazkera jaari rahe
aalame insaniyat ashk bahati rahi
zikre hussaine ghareeb sabko sunati rahi
ghurabate shabbir ka tazkera jaari rahe
itrate at'haar ka moniso gham qaar tha
nehar pe maara gaya wo jo alamdaar tha
pyase alamdar ka tazkera jaari rahe
jis ghadi maara gaya akbare kadyal jawaa'n
ran me nikal aayi thi roti huwi bibiyaa'n
dilbare shabbir ka tazkera jaari rahe
asr ka hangaam tha rote the aale aba
qaime ke dar par khada abide beemar tha
abide beemar ka tazkera jaari rahe
khoon ka darya baha dard ka tufaa'n utha
qatl mohammad ka jab pyara nawasa hua
is ghame andoh ka tazkera jaari rahe
hashr tak hoga kaleem matame sibte nabi
umr bhar roti rahi bhai ko binte ali
zainabe dilgeer ka tazkera jaari rahe