Matam Ghame shabbir Me Aelaane wafa Hai
yeh Mit Nahi Sakta Hai Yeh Zehra Ki Dua Mai
1. Zehra Ke Gulistaa'n Ko Loota Gaya Ban Me
pamaal Huva Qasim-e-naushah Bhi Ran Me aur Qaima-e-shabbir Me Kohraam Bapa Hai
2. Zainab Ne Kaha Peet Ke Sar Haye Re Ghurbath
ab Koun Karega Meri Chadar Ki Hifazath
darya Pe Alamdar-e-jari Qatl Huva Hai
3. Farmati Thi Rokar Yehi Bas Zainab-e-nashaad
kis Tarha Badhau'n Mai Qadam Sayyad-e-sajjad
har Simt Tamashayi Hai Sar Mera Khula Hai
4. Q1smath Se Mila Jo Hamein Shabbir Ka Hai Gham
yeh Jeete Ji Hoga Na Kabhi Zindagi Me Kam
har Lamha Hamein Fatima Zehra Ki Dua Hai
5. Kin Ankhou'n Se Shashmahe Ko Dekhegi Woh Mad
marjaye Na Sadme Se Kahin Bano-e-muztar
nanha Sa Gal Zulm Ke Nawak Se Chida Hai
6. Jakda Huva Zanjeerou'n Me Hai Abid-e-muztar
kis Tarha Se Dafnaye Bhala Lasha-e-khwahar
ek Bhai Pe Zinda'n Me Ajab Waqt Pada Hai
7. Jo Ran Me Luti Hai Usi Jaageer Ka Matam
karte Raho Har Haal Me Shabbir Ka Matam
majlis Yeh Najaf Hazrat-e-zainab Ki Ataa Hai