har pal hai saath hai har dam
matam haan sheh ka matam
jab naam e shabbir liya
bhool gaye dunya ke gham
matam haan sheh…
pahunche laashe akbar par
girte padte shaahe umam
matam haan sheh…
le aaye hai maqtal se
laasha e akbar shaahe umam
matam haan sheh…
lo wo kanare nehr huwe
baazu e abbas qalam
matam haan sheh…
tar hai khoon se ghazi ke
mashkeeze ke saath alam
matam haan sheh…
tashna baap ke haathon par
kho diya baysheer ne dam
matam haan sheh....