MATAM HAI ASKERI KA SAB MOMINO’N KE GHAR GHAR
KIS ZULM AUR JAFA SE MAARA GAYA HAI REHBAR
Bete ko kyun Taqi ke zehre dagha se maara
Rote hain mominee’n sab arz-o-samaa’n hai muztar
Ek hashr ka samaa’n hai matam mein do jaha’n hai
Masoom ro raha hai sar ko patak patak kar
Hadi-e-dee’n ke lab par nauha yahi hai har dam
Baba ko mere maara Zehr-e-sitam pilaakar
Bete ko apne waali kis tarha doo’n dilasa
Narjis ka hai ye nauha roti hai khaak udaakar
Hai paanch saal ka hi mera yateem baccha
Bewaa ke bain the ye taboot-e-Askari par
Utthta hai ab janaza masmoom Askari ka
Shor-o-buka se barpa hai samere mein mehshar
Roohe Ali-o-Ahmed roti hai samere mein
Zulm-o-sitam hai dhaaya Aulade Fatima par
Kya Saahib-uz-Zamaa’n ke sar se utha hai saaya
Ahl-e-Haram bhi Qasim girya’n hai kamsini par