askari ki saamra may haye shahadat hogayi
aaj phir se fatema ke ghar qayamat hogayi
khoon may apne hi ghaltan hai ghareeb e saamra
surkh apne khoon may phir se imamat hogayi
askari ki saamra may...
zehr paa kar yun tadapte jaa rahe hai askari
mujtaba ki zehn may taaza musibat hogayi
askari ki saamra may...
ek aur masoom ko maara hai zulm o jor se
yun shahadat is gharane ki riwayat hogayi
askari ki saamra may...
chupke chupke ro rahe hai askari ke ghar may sab
rone pe pehra laga aisi shakhawat hogayi
askari ki saamra may...
paanchwa hi saal tha mehdi ka jab zulm o sitam
is khadar badne laga har soo adawat hogayi
askari ki saamra may...
mehwe girya hyder e karraar bhi zehra bhi hai
ghamzada shehr e madina may risalat hogayi
askari ki saamra may...
ro rahe hai sab muhib sun kar musibat ka bayan
is tarha rizwan ki kaamil ibadat hogayi
askari ki saamra may...