Kanz e Aza

ASR KA HANGAAM HAI AUR ZAINAB-E-DILGEER HAI

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Hasan Abbas Ahsan and recited by Anjuman e Parwana e Shabbir. Lyrics in Roman Urdu.

Khanjaro teero sina hai naiza-o shamsheer hai

Har taraf hathyaar hain aur darmiyaa'n Shabbir hai

Haay peshaani pa Sheh ki hurmula ka teer hai

Khoon me doobi huwi Islam ki tasweer hai


Asr ka hangaam hai aur Zainab-e-Dilgeer hai


Dard ka har ek manzar hai nazar ke saamne

Shimr ke haathon me khanjar hai nazar ke saamne

Bhai ka kat'ta hua Sar hai nazar ke saamne

Zib'ha hote hain Hussain aur saamne hamsheer hai


Asr ka hangaam hai aur Zainab-e-Dilgeer hai


Garm reti par tadapta hai Dil-e Zehra ka chain

Ghir chuka hai barchhion me Mustafa ka Noore Ain

Chand lamho'n me abhi kat jaaega Halq-e Hussain

Karbala ke bannme tanhaai hai aur Shabbir hai


Asr ka hangaam hai aur Zainab-e-Dilgeer hai


Ab siyaah aandhi chalegi aaenge ab zalzale

Gardane Shabbir hogi shimr ke khanjar tale

Ek rasan me honge ab baara aseeron ke gale

Ab tamaanche hainmusalsal Dukhtare Shabbir hai


Asr ka hangaam hai aur Zainab-e-Dilgeer hai


Karbala hai haq parasto'n ke liye kul Kaa'enaat

Karbala ke haath meham ne diye hain apne haath

Jaan bhi jaaye toAhsan haq ka chhorenge na saath

Jaante hain ham yehi to Maqsade Shabbir hai


Asr ka hangaam hai aur Zainab-e-Dilgeer hai