jab aakhri ruqsat ko chale sayyede waala
hamsheer ko dukhtar ko bhi allah ko saumpa
phir rote huwe aspe wafadaar se bole
aa tu bhi wida bekas o mazloom se ho le
ay aspe wafadaar ay aspe wafadaar
maana ke bahot zakhm hai tere bhi badan par
asghar ki tarha pyasa hai meri tarha muztar
ye aakhri khidmat hai ada kar paye hyder
gardan pe meri shimr ki chalne ko hai talwaar
ay aspe wafadaar...
tu to mere nana ki sawari mein raha hai
ab tujhse bichadne ka mujhe ranj bada hai
par kya karun mehzar mein mera naam likha hai
raakib tera marne ko chala hai mere rehwaar
ay aspe wafadaar...
jab girne lagun zeen se maqtal ki zameen par
jab mujhpe barasne lage har simt se pathar
aur shimre layeen tan se juda karne lage sar
zainab na kahin dekhkle ban jaaiyo dewaar
ay aspe wafadaar...
laasha mera pamaal karenge ye sitamgar
maarega koi teer koi pherega khanjar
rehne nahi denge mera malboos badan par
tadpega sar e nehr mera bhai alamdar
ay aspe wafadaar...
ye sun ke tadapne laga kehne laga ro kar
behtar hai ke jaan dedun mai kuffar se lad kar
ay kaash ke chal jaaye mere halq pe khanjar
mai aap pe jaan dene ko tayyar hoon sau baar
ay sayyede abraar ay sayyede abraar
de hukm to is fauje sitamgar ko kuchal dun
naksha mai zara dayr mein maqtal ka badal dun
har ek sitamgaar ko paigham e ajal dun
ay ibne ali hukm hai bas aap ka darkaar
ay sayyede abraar...
ye sun ke hui tar mere maula ki nigahein
gardan mein bade pyar se phir daal di baahein
aur aspe wafadaar bhi bharne laga aahein
maula ne kaha jaa tera allah madadgaar
ay aspe wafadaar...
ab hashr mein hum tujhse mulaqaat karenge
maqtal mein basar aaj se din raat karenge
hum khuld mein nana se teri baat karenge
royenge tujhe dekh ke sab mere azadaar
ay aspe wafadaar...
rehaan nazar aati hai jab sheh ki sawari
aankhon se azadaron ke khoon hota hai jaari
kehte hai ke qurban ho jaan tum pe hamari
dekha nahi tujh jaisa koi shaah ka ghamkhwar
ay aspe wafadaar...