ai saarban ai saarban
aahista chal ay natawan
zakhmi badan tashna laban
aahista chal ay natawan
ek reesma baara galay
ye khaafila kaise chale
sar pe bala ki dhoop hai
pairon talay dharti jale
hai bibiyan sab neem jaan
aahista chal ay natawan
ai saarban...
ay saarban salaar e gham
ghurbat may ye jaaho hashm
tu naayab e abbas hai
kehte hai sab ahle haram
ban kar zameen par aasman
aahista chal ay natawan
ai saarban...
naaqon ki jo raftaar hai
chalna mera dushwaar hai
bacche hai naaqon par bandhe
durron ki bhi bauchaar hai
kehne lagi asghar ki maa
aahista chal ay natawan
ai saarban...
zainab ko ghash aane laga
jab shimr ne aa kar kaha
jaldi badhao ab qadam
tay jald ho ye faasla
koi na ab khole zaban
aahista chal ay natawan
ai saarban...
akbar ki maa kehne lagi
ay shimr ye jurrat teri
mai zauja e shabbir hoo
maa hoo imam e waqt ki
bas ab chalega hukme maa
aahista chal ay natawan
ai saarban...
nagaah ye aayi khabar
zainab hui hai nauhagar
tehro sakina gir gayi
rone lage naizon pe sar
kehne lage ahle jina
aahista chal ay natawan
ai saarban...
bazaar se jaate huwe
sajjad jab jaldi chale
sakte may thay rehaan sab
phir yak bayak ko ruk gaye
kehne lagi saut e azan
aahista chal ay natawan
ai saarban...