chandi sa badan phool sa tan khaak hua hai
zainab ka jigar rashke qamar chaak hua hai
aun o mohamed aun o mohamed
ay seem tana gulbadana aun o mohamed
zainab hai kahan aur kahan aun o mohamed
aun o mohamed...
pyase rahe darya ki taraf ki na nigahein
de aaye thay zainab ko zuban aun o mohamed
aun o mohamed...
ek dard ki dunya hai basi dashte bala mein
kafoor huwe dono jahan aun o mohamed
aun o mohamed...
qaime mein thay jab tak to faqat dono thay bacche
maidan mein huwe jaake jawan aun o mohamed
aun o mohamed...
wo maut ke sehra mein raha manzar e mehshar
angdaiyan lete thay wahan aun o mohamed
aun o mohamed...
wo maqsad e sarwar pe fida dono ka hona
tum jaise kahan deeda varan aun o mohamed
aun o mohamed...
laashon pe kiye hai zainab e dilgeer ne sajde
un sajdon ke raushan hai nishan aun o mohamed
aun o mohamed...
ashoor ko dulhan thi bani ashoor ko bewa
pamaal hua ran mein jawan aun o mohamed
aun o mohamed...
baysheer ki gardan par chala teer e sitamgar
honton pa jo pheri hai zuban aun o mohamed
aun o mohamed...
barchi ki ani jo dhans gayi khud mere jigar mein
ab hai meri aankhon mein dhuaan aun o mohamed
aun o mohamed...
darya ko bhi abbas ne darya nahi samjha
tha husne wafa se ye ayan aun o mohamed
aun o mohamed...
abbas e jari sogaye darya ke kanare
bedast huwe sher e jawan aun o mohamed
aun o mohamed...
akbar bhi nahi abbas nahi tum bhi nahi ho
bhai ke bina hum hai yahan aun o mohamed
aun o mohamed...
ek nusrat e haq ke siwa maa ne na socha
ay jaane dileraane jawan aun o mohamed
aun o mohamed...
iqbal ke nauhe ye sada haq ki sada hai
dhoondenge tumhe haq talaban aun o mohamed
aun o mohamed...