lo salaami raah e haq ke jaanisaron ay shaheedon
bekafan aur sar bureeda be-mazaron ay shaheedon
gulsitan e deen ki saari hai baharein bas tumhi se
aasman e haq ke roshan chaand taaron ay shaheedon
lo salaami raah e haq ke...
tum ne apne sar kata kar laaj rakhi hai wafa ki
fatema o murtaza ke ay saharon ay shaheedon
lo salaami raah e haq ke...
bekafan laashon ko chadar garm reti ne udaayi
ran mein quran ke bikhre huwe paaron ay shaheedon
lo salaami raah e haq ke...
tum se seekha hai zamane ne itaa’at ka kareena
ay gulistan e imamat ki baharon ay shaheedon
lo salaami raah e haq ke...
raunak e baagh e nabuwat khushboo e jism e imamat
azm o eesaar o wafa ke shaahkaron ay shaheedon
lo salaami raah e haq ke...
wo ho safdar ya ho mazhar aaj tak tum pe hai naazan
tum ho quran e wafa ke maah paaron ay shaheedon
lo salaami raah e haq ke...