Kanz e Aza

Ay Shamiyon Is Shor

A noha for Darbaar e Shaam, written by Mir Hassan Mir (2026). Lyrics in Roman Urdu.

ay shamiyon is shor ki aadi nahi zainab

kyun jashn manate ho ke baaghi nahi zainab


kehte rahe sab log ke shabbir ko maaro

maaro na mere bhai ko kehti rahi zainab

ay shamiyon is shor ki...


shayad kisi bazaar mein bichdi hai sakina

durre bhi layeen maare to badhti nahi zainab

ay shamiyon is shor ki...


amma ki rida choomne lag jaaati hai ro kar

ghar aake bhi bazaar ko bhooli nahi zainab

ay shamiyon is shor ki...


aa jaaye na abid ko koi maarne waala

zindan mein bhi is khauf se soyi nahi zainab

ay shamiyon is shor ki...


todenge ye patthar kya bhala hausla iska

qasim ke janaze pe bhi bikhri nahi zainab

ay shamiyon is shor ki...


ab karni hai sajjad ki tujhko hi hifazat

pehre pe tere ab tera bhai nahi zainab

ay shamiyon is shor ki...


zakhmon ki rida odh ke is tarha se soyi

sajjad jagate rahe jaagi nahi zainab

ay shamiyon is shor ki...


chehlum ke liye bhai ke phir shaam bulana

ye sirf tere mir ki arzi nahi zainab

ay shamiyon is shor ki...