baab e sa'at par khadi hai fatema ki betiyan
shaam ke darbar may hai jashn ki tayyarian
wa hussaina ki sada hai itrat e athaar may
jaane kya guzri hai in par shaam ke bazaar may
khoon may tar hogayi kaunain ki shehzadiyan
baab e sa'at par khadi...
subho se thak jaate hai jab shaami pathar maar kar
shaam hote hi chale jaate hai zaalim apne ghar
raat bhar qaidi khade rehte hai zer e aasman
baab e sa'at par khadi...
gham to ye hai chaar jaanib kalma go aabad thay
chadarein phir bhi na di sar ko chupane ke liye
sar khule kitni azan'ein sun chuki hai bibiyan
baab e sa'at par khadi...
koi jaa kar ye bata do bekas o mazloom ko
mil rahi hai ye yateemi ki saza masoom ko
ab sakina ko tamache de rahe hai loriyan
baab e sa'at par khadi...
khoon may baqir ke shaamil ghairat e abbas hai
hai abhi kamsin magar isko bhi ye ehsaas hai
bazm may noshi kahan aur saani e zahra kahan
baab e sa'at par khadi...
ban gaya tareekh e ghurbat shaam o kufa ka safar
zulm jitne ho gaye hai be-khata sadaat par
mujrimon par bhi kahan hoti hai itni sakhtiyan
baab e sa'at par khadi...
abid e bemaar aansu khoon ke barsata raha
be-ridayi ka isay zainab ki gham khaata raha
aate aate shaam tak boodha hua hai ye jawan
baab e sa'at par khadi...
jaa ke chehlum par takallum ne ye dekha hai samaa
kal jahan se be-rida guzri thi sab saydaniya
chadarein ab naam pe zainab ke bat'thi hai wahan
baab e sa'at par khadi...