sayyeda tahera
wa hijaba wa ghurbata
bazaar may be parda nabi zaadi khadi hai
har mod pe marne ki dua maang rahi hai
hai haathon may patthar abhi aayi nahi zainab
bazaar may pehle se hi ek bheedh lagi hai
bazaar may be parda...
is gham ki aziyat koi sajjad se pooche
bachpan may sakina ki kamar kaise jhuki hai
bazaar may be parda...
bazaar se lagta hai guzarte hai janaze
khamosh har ek bibi hai marne ki kami hai
bazaar may be parda...
hai aakhri manzil isay darbar na samjho
maqtal ki taraf shaah ki hamsheer chali hai
bazaar may be parda...
tasbeeh ke daano ki tarha ek rasan may
har umr ki zahra hai jo paband khadi hai
bazaar may be parda...
naam aata hai zainab ka sharabi ki zuban par
sajjad ki ghairat pe qayamat ki ghadi hai
bazaar may be parda...
khoon rone ko qaayam ke ye kaafi hai takallum
zainab ki taraf dekh ke dunya ye hasi hai
bazaar may be parda...