Kanz e Aza

Hum Log Mar Gaye

A noha for Imam Ali (a.s), written by Mir Takallum. Lyrics in Roman Urdu.

kaun pahunchayega ab rizq ali zakhmi hai

aaj kufe ke yateemon ki khuda khair kare

kufe may goonjti hai sada har yateem ki

hum log mar gaye tere marne se ya ali


unnesvi ki subha qayamat ki thi khabar

faaqe hai teen rooz se hum bekason ke ghar

dunya se tum gaye to ye dunya badal gayi

hum log mar gaye...


kehta hai har yateem ke tanha na chodiye

le jaye mujhko saath akela na chodiye

kufe may hum ghareebon ka baaqi nahi koi

hum log mar gaye...


naabina ek zaeef ye kehta hai baareha

ab kaun mujhko haathon se khana khilayega

aayega kaun poochne ab khariyat meri

hum log mar gaye...


lekar pyaale sheer ke aaye yateem sab

roye hassan se mil ke yateemane kufa jab

darwaza e ali pe qayamat bapa hui

hum log mar gaye...


har haal may sambhalne waala chala gaya

ghurbat may humko paalne waala chala gaya

kis tarha se bhulayein kareemi imam ki

hum log mar gaye...


pehle hi muztarib thi tabiyat hussain ki

yaad aa gayi imam ko phir apni laadli

dar par sada jo kufe ke bachon ne aa ke di

hum log mar gaye...


baahar jo ghar se aaya janaza imam ka

rone se ahlebayt ke kufa laraz gaya

charon taraf se aati thi aawaz bas yehi

hum log mar gaye...


ye kaun bibi hai jo janaze ke saath hai

jhuk jhuk ke chal rahi hai wo pehlu pe haath hai

kya fatema ye sunke madine se aa gayi

hum log mar gaye...


maayein ye kehke mir takallum hui nidhaal

rakhte thay in yateemon ka kitna ali khayaal

mehsoos hogi bachon ko ab baap ki kami

hum log mar gaye...