Kanz e Aza

Hyder e Karrar

A noha for Imam Ali (a.s), written by Mir Taha Istefa. Lyrics in Roman Urdu.

kya khehr hai maari gayi sar par tere talwaar

ali hyder e karrar ali hyder e karrar


asadullha ali ainullah ali

wajhullah ali waliullah ali


syed o sardar hyder e karrar

noor ka minaar hyder e karrar

deen ka madadgaar hyder e karrar

monis o ghamkhaar hyder e karrar

ghaiz e kirdagaar hyder e karrar

saahib e zulfeqar hyder e karrar

hyder e karrar ali hyder e karrar


aflaak pe jibreel e ameen padte hai nauha

masjid mein qatl hogaya damaad e mustafa

zaalim ne paas e masjid o mehraab na rakha

arsh e bari ko zulm se apne hila diya

rangeen khoon sar se hui reesh e khush gawa

ali hyder e karrar ali hyder e karrar


hyder ko zakhmi dekhh ke bekal hai mustafa

pehlu shikasta roti hai maqdooma sayyeda

mehroon hai hussain to maghmoon mujtaba

furqat ka daagh darte hai sardar e ausiya

aulaad ro rahi hai shahe deen ki zaar zaar

ali hyder e karrar ali hyder e karrar


be-deen bad naseeb o nasab dushmane khuda

tune sutoone noore hidayat gira diya

tune imame jinn o bashar qatl kar diya

tune dil e rasool e moazzam dukha diya

khuld e bari mein mursale aazam hai ashk baar

ali hyder e karrar ali hyder e karrar


hoti hai ahlebayt e nabuwat pe sakhtiyan

bharti hai aahein faatahe khyber ki betiyan

sar peet'ti hai maadare abbas neem jaan

lut'ta hai raaj aalame ghurbat mein al'amaan

tukde hai dil wafure alam se jigar figaar

ali hyder e karrar ali hyder e karrar


farmate thay ye sayyede sardar o risalat

baara hai meri nasl se minar e hidayat

likhi hai mere pyaron ke qismat mein ye aafat

talwar se ya zehr e halahat se shahadat

hai teri shahadat mein jama zehr o talwaar

ali hyder e karrar ali hyder e karrar


kaari thi bahot zehr bujhi taygh ki zarbat

do neem hua farqe asad qasim e jannat

khoon behne laga zakhm se parnaal ki surat

mazloom tadapte thay basad garb o aziyat

barham thi fizza kufe ki ay sayyede abraar

ali hyder e karrar ali hyder e karrar


lo sayyed e lawlaak ki masnad hui khaali

lo jafar e tayyar ka maara gaya bhai

sar pet'te hai hyder e safar ke fidaayi

khuld e bari ko jaati hai hyder ki sawari

hai chaahne waale shahe mardan ke azadar

ali hyder e karrar ali hyder e karrar


jab arsa e mehshar mein chali aayegi zehra

aur pesh e khuda layegi hyder ka amama

unnewsi ramzan ki yaad hoyegi taaza

phat jayega har momin e hyder ka kaleja

ho jayega dil arif o taha ka taar zaar

ali hyder e karrar ali hyder e karrar