kehta hai tumse maahe moharram hussainiyo
mazloome karbala ka hai ye gham hussainiyo
ya maula ya hussain
uth'ta hai dard shor e buka se utha kare
jalta hai gar adoo e aza to jala kare
taskeen e qalb e binte payambar hua kare
humko ghame hussain ki daulat mila kare
kehta hai tumse...
wo gham ke jis se hogaye maghmoom khud rasool
wo gham ke jis ne aale nabi ko kiya malool
wo gham ke jis se baakhi hai deen ke sabhi usool
wo gham ke jiska dark nahi ho saka usool
kehta hai tumse...
wo gham jo har shareef ke dil ko rula gaya
wo gham jise hararat e emaan kaha gaya
wo gham jo deen e haq ka muqaddar bana gaya
roze azal se kauno makan mein kiya gaya
kehta hai tumse...
wo gham ke jisne murda zameerein jila diye
wo gham ke jisne raaste haq ke dikha diye
wo gham ke jisne dard ke dunya basa diye
wo gham ke jisne kufr ke maqsad mita diye
kehta hai tumse...
wo gham ke jisko zainab e dilgeer ne kiya
be pardagi mein chaadare tatheer ne kiya
dashte bala mein maadare shabbir ne kiya
tauq e gulu ne paon ki zanjeer ne kiya
kehta hai tumse...
wo gham jise na bhoolenge sadaat e fatemi
wo gham jo khoon rulaata hai maula ko aaj bhi
wo gham ke jisne bali sakina ki jaan li
wo gham ke jiska badla liya jaana hai abhi
kehta hai tumse...
lene ko badla zulm ka maula hai beqaraar
be-kal hai inteqam e shahe deen ko zulfeqar
apni zabane haal se kehti hai dilfigaar
mujhko hai bas niyaam se aane ka intezar
kehta hai tumse...
kyun kar na inteqam ko machlegi zulfeqar
wo bhi hai ahlebait e nabuwat ki soghwaar
wo dekhti hai shaah e zamana hai ashk baar
hoti hai wo bhi saath mein maula ke beqaraar
kehta hai tumse...
tabooti taakhaton se nahi ho sakega kam
waada hai ye khuda e mohamed ka ahle gham
toofan e haadsaat mein rukte nahi qadam
dil ko sukooon hai saath hai abbas ka alam
kehta hai tumse...
karta hai taaha majlise sarwar mein ye fughan
arif hamari nazron mein wo taab hai kahan
dekhe jo haale maadare shabbir khasta jaan
allah dil shikasta shahe karbala ki maa
kehta hai tumse...