Kanz e Aza

Mere Ghar Maula Aaye

A noha for Ibtedaye Ayyam e Aza, written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

aza ka chaand jab dekha

gali gali mein kaale parcham aate hai nazar

hussain hussain hussain hussain

log azadari ko nikle hai shahraon par

hussain hussain hussain hussain

falak se kiski sawari aayi alam saje ghar ghar

hussain


bicha hai farsh majlis ka

mere ghar maula aaye hai


banayi sheh nasheen ghar mein

nishan e gham sajaya hai

siyaah parde lagaye hai

zamane ko bataya hai

samjh leta ke ye dunya

mere ghar maula aaye hai

bicha hai farsh majlis ka...


mere ghar aaj majlis hai

zameen waalon falak waalon

agr shauq e ziyarat hai

sheh e deen ke azadaron

ziyarat ko chale aana

mere ghar maula aaye hai

bicha hai farsh majlis ka...


maah e aza hai kaale parcham lao

ghar pe jari ka alam lehrao

guzre jahan se juloos aza ka

raahon mau us ke sabeelein lagao

baanto tabarruk nazr dilao

bachon ko apne saqqa banao

ghar ghar mein farsh aza ka bichao

karo elaan majlis ka

mere ghar maula aaye hai

bicha hai farsh majlis ka...


moharram jab nahi hota

to ye manzar nahi hota

bapa majlis jo hoti hai

ye ghar wo ghar nahi rehta

bana hai ghar aza khana

mere ghar maula aaye hai

bicha hai farsh majlis ka...


mere dehleez par dekho

khataarein ambiya ki hai

atayein kis khadar mujh par

sakina ke chacha ki hai

alam dekha to dil bola

mere ghar maula aaye hai

bicha hai farsh majlis ka...


bahot tha shauq is dil mein

mai dekhun rauza maula ka

khabar thi mere maula ko

karam mujh par hua aisa

ke ek din khawab mein dekha

mere ghar maula aaye hai

bicha hai farsh majlis ka...


dar o deewar mehke hai

aqeedat ye bataati hai

kisi hasti ki aamad hai

khabar khushboo sunati hai

jisay tu ghar bulaata tha

sawari us ki aati hai

ujaala ho gaya har soo

giray phir aankh se aansu

raha na qalb na qaabu

lagay ek khwaab ke jaisa

mere ghar maula aaye hai

bicha hai farsh majlis ka...


bulaya maine maula ko

to wo tanha nahi aaye

kisi ko laaye maqtal se

kisi ko shaam se laaye

aur un ke saath hai zehra

mere ghar maula aaye hai

bicha hai farsh majlis ka...


ajab hai kaifiyat dil ki

khushi hai aur hai gham bhi

karun mai shukr ke sajde

musalle par hai matam bhi

dhala hai shukr mein nauha

mere ghar maula aaye hai

bicha hai farsh majlis ka...


kaha farhan ne ro kar

likhi kya baat mazhar ne

ajal ka jab payaam aaya

to mai bola farishte se

abhi mai aa nahi sakta

mere ghar maula aaye hai

bicha hai farsh majlis ka...


ya sayyed e mazloom lutay ghar ka lo pursa

naizon par shaheedon ke har ek sar ka lo pursa

ali akbar ka lo pursa ghazi ka lo pursa

ali asghar ka lo pursa

haan aun o mohamed ka lo qasim ka lo pursa

kulsoom ka zainab ka sakina ka lo pursa

qaimon ka lo pursa luti chaadar ka lo pursa

bemaar ka pursa jalay bistar ka lo pursa

haye mere maula ye bare ghar ka lo pursa


ya mazloom hussaina

hussain hussain hussaina

pyase hussaina

hussain hussain hussaina

ghar tera loota gaya

hussain hussain hussaina

kunba bhi pyasa raha

hussain hussain hussaina

har ek qaima jhal gaya

hussain hussain hussaina

chin gayi sab ki rida

hussain hussain hussaina

rote hai ahle aza

hussain hussain hussaina

matam ki goonje sada

hussain hussain hussaina

ghar ghar hai farsh e aza

hussain hussain hussaina