farshe majlis pe fatema zehra
lamha lamha shumaar karti hai
ay azadaro aao majlis mein
fatema intezar karti hai
ay azadaro suno keh rahi hai sayyeda
har ek chahne waale ko bakshwa doongi
mere hussain ko rote raho dua doongi
tum apne ghar mein azakhane jab sajaoge
jaza rasool se iski zaroor paaoge
khuda bhi raazi rahega ali bhi aur mai bhi
gham apna bhool ke ashoor jab manaoge
tumhare dil ke har ek zakhm ki dawa doongi
mere hussain ko rote...
ajeeb haal se aaungi mai sare mehshar
ke laaungi mai wahan godh mein hussain ka sar
mai laaungi mere abbas ke kate huye haath
to saath laashaye asghar bhi aur hassan ka jigar
khuda se baba ki ummat ko bakshwa doongi
mere hussain ko rote...
ba waqt e asr guluye hussain kat'ta tha
pisar ke gird phiri roohe fathema zehra
nidaye fathema aati thi aah wavaila
ke chakki pees ke maine hussain ko paala
karo na qatl isay mai tumhe dua doongi
mere hussain ko rote...
meri sakina o zainab ki sab kaneezein sune
wasiyat ek meri hai dhyan mein rakhe
kabhi jo zikr ho zainab ki be-ridayi ka
to ek lamha bhi khud ko wo berida na kare
mai tumko betiyan zainab si baah la doongi
mere hussain ko rote...
tum is jahan mein hamara sahara ban jao
hamare bhai se izzat to banke dikhlao
na aiso ho apne kisi amal se kabhi
aza ki rooh ko nuksaan tum na pahunchao
ye mere wada hai mai tumko bakshwa doongi
mere hussain ko rote...
jo umr bhar mere bachon ka nauha khwan hoga
ba roze hashr wo utna hi shadman hoga
jo nauhe likhte rahe mazhar abdi yuhin
qalam ye ta ba qayamat yuhin rawan hoga
har ek bayt pe jannat mein ghar dila doongi
mere hussain ko rote...