haye mazlooma fatema zehra
ro ke kehti thi ye zehra mujhe jaana hoga
kya sitam hogaye baba ko batana hoga
zakhm pehlu pe hai maujood na dekhe hyder
mujhko maloom hai mar jayenge wo ghut ghut kar
zakhm ye unko kisi taur chupana hoga
ro ke kehti thi ye...
bas yehi soch ke dil doob raha hai mera
kaisa maahol tha darbar ka dekha na gaya
meri zainab ko to bazaar bhi jaana hoga
ro ke kehti thi ye...
mujhko darbar mein jhutlaya mera dar bhi jala
mera mohsin na raha koi sahara na raha
mere bete mere mehdi tumhe aana hoga
ro ke kehti thi ye...
phasliyan toot gayi hai mai nahi uth paati
saans lene mein bhi hoti hai mujhe dushwari
ay khuda paas tujhe apne bulana hoga
ro ke kehti thi ye...
jalte darwaze ko dekha hai hassan ne mujh par
is liye rota hai tanhaai mein mera ye pisar
usko le aao galay apne lagana hoga
ro ke kehti thi ye...
maine bas itna kaha chod do shauhar ko mere
ye khabar thi nahi badle mein tarafdari ke
taaziyana mujhe baazu pe bhi khaana hoga
ro ke kehti thi ye...
ro padi fatema zainab se suni jab ye fughan
karbala jaaungi kaise mai akeli amma
har jagah saath tumhe mere nibhana hoga
ro ke kehti thi ye...
bas yehi soch ke faazil ki hai aankhein pur nam
kaise rote thay sabhi bacche suna ye jis dam
alwida ay mere bacchon mujhe jaana hoga
ro ke kehti thi ye...