Kanz e Aza

Nanhe Haathon se

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Majid Raza Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

ghar mein jab aag lagi jalne laga darwaza

aur wo jalta hua dar fatema zehra pe gira

maa pe girta ha dar dekh ke bachon ne kaha


nanhe haathon se ye darwaza uthaye kaise

in bhadakte huwe sholon ko bujhaye kaise


dekho ay nana hai baba ke galay mein rassi

sehn mein be-adabana chale aate hai shaqi

zulm se un ke hum amma ko bachaye kaise

nanhe haathon se...


aap uth jaate thay amma ke adab mein nana

un ko masnad pe bithaate to bichate thay aba

in musalmano ko sab yaad dilaye kaise

nanhe haathon se...


chaaron bachon ne wo darwaza uthana chaaha

haath jalte rahe us par bhi yehi dhyaan raha

zakhmi maadar ko aziyat se chudaye kaise

nanhe haathon se...


durra baazu pe laga hai to lahoo behta hai

haath pehlu pe hai rukhsaar bhi to neela hai

khaak ke farsh se bistar pe litaye kaise

nanhe haathon se...


phir kisi ghar ko ye manzar na jahan dikhlaye

bachon ke saamne maadar pe musibat aaye

bache kehte thay ke nana ko bulaye kaise

nanhe haathon se...


roti hai zainab o kulsoom hai ek hashr bapa

baap rassi mein bandha maa pe hai darwaza gira

rasan e zulm se baba ko chudaye kaise

nanhe haathon se...


jab ke darwaza gira aayi ye zehra ki sada

hogaya hai mera mohsin bhi shaheed ay fizza

bole hasnain ke bhai ko bachaye kaise

nanhe haathon se...


kam hai ye nauha jo khaama ne abhi likha hai

haa magar zehra ke atfaal pe jo guzra hai

karb wo majid o mukhtar sunaye kaise

nanhe haathon se...