zakhm pehlu ke jo bachon se chupaye thay wohi
waqt e ruqsat ali maula se bhi dekhe na gaye
phasliyan toot gayi dard saha zahra ne
haath pehlu se hataya nahi mazlooma ne
zulm seh seh ke jo aansu thay hamesha hi rawan
wo jo is bibi ke rukh par thay tamachon ke nishan
apne bacchon se chupaye wo sada dukhiya ne
phasliyan toot gayi...
gham ki is maari ko kaunain ki shehzadi ko
ghar ke hujre mein bhi haye re nabi zaadi ko
apne baba pe bhi rone na diya aada ne
phasliyan toot gayi...
jalta dar fatema zahra pe gira hai dekho
kalma goyo zara mazlooma pe kuch rehm karo
peet ke sar ko duhaai di yehi fizza ne
phasliyan toot gayi...
thi zaban par ye buka mujhpe bohat zulm hua
dar gira mujhpe to mohsin bhi hua mujhse juda
ki hai rote huwe faryad yehi zahra ne
phasliyan toot gayi...
tukde uske sar e darbar mai chunti hi rahi
wo sanad haye mere saamne tukdon mein bati
jo sanad likh ke mujhe di thi mere baba ne
phasliyan toot gayi...
fatema zahra ka tha saans bhi lena doobhar
phasliyan tooti thi pehlu bhi shikasta tha magar
ye kisi ko na bataya kabhi mazlooma ne
phasliyan toot gayi...
wo jo kehti thi lehad shab ko banana meri
ya ali raat mein mayyat bhi uthana meri
shab ki tareeki mein dafnaya usay maula ne
phasliyan toot gayi...
ab julooson mein hai taboot usi bibi ka
haq bhi cheena gaya aur jis pe sitam dhaaya gaya
jis ko izhaar sataya hai bohat dunya ne
phasliyan toot gayi...