Kanz e Aza

Phir fatima pa zulm hua

A noha for Shehzadi Fatima (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

Phir fatima pa zulm hua waa museebata Ki dushmano'n ne aur jafa waa museebata

Aaramgaahe fatima zahra ujad gayi

Bechain hai rasoole khuda waa museebata

Naamo nishaane turbate zahra mita diya


Aaqar mazaar tak na raha waa museebata

Qabro'n me so rahe the musaafir thake hue Ki zaalimo ne un pa jafa waa museebata Ki ashqiyaa ne be adabi turbato'n ke saath

Qabro me bhi na chain diya waa museebata

Marne ke baad fatima zahra pa ye sitam


Turbat me bhi na chain diya waa museebata

Ab qabre sayyada ka pata bhi nahi raha

syedaaniyo'n pa hashr hua waa museebata