qabr zahra ki banana koi aasan na tha
phir nishan uska mitana koi asaan na tha
baad baba ke ajab aalam e tanhaai tha
aur phir saara madina hi tamashai tha
fatema par wo zamana koi asaan na tha
qabr zahra ki banana...
haath paband hai gardan may hai jiske rassi
hai wo mazloom mera waali zamane ka vali
jaake dar dar pe batana koi asaan na tha
qabr zahra ki banana...
phasliyan toot ke yun choor thi shehzadi ki
karne lagti thi jo khaaliq ki ibadat bibi
haath pehlu se hatana koi asaan na tha
qabr zahra ki banana...
poocha zainab ne jo baalon may safedi kyun hai
roke beti se faqat itna kaha zahra ne
bhare darbar may jaana koi asaan na tha
qabr zahra ki banana...
mekh darwaze ki pehlu may gadi thi lekin
dard se saans bhi lena tha jahan na mumkin
phir bhi hyder ko bachana koi asaan na tha
qabr zahra ki banana...
thi wo ghurbat ki bahot sakht ghadi zahra par
qatl mohsin bhi hua mujhpe gira jalta dar
gham ye hyder ko batana koi asaan na tha
qabr zahra ki banana...
qabre zahra pe ye kahte thay ali ro ro kar
tha mere waaste asaan uthana khyber
tera taboot uthana koi asaan na tha
qabr zahra ki banana...
maamta maa ki raza humse raqam kaise ho
haye darvaish ke us dard may bhi bachon ko
apne pehlu may sulana koi asaan na tha
qabr zahra ki banana...