Qabre asghar pa kehti thi maadar, Ghar chalo shaam hoti hai asghar
Qaak pa neend aaegi kyu'n kar , Ghar chalo shaam hoti hai asghar
Bhaa gayi teri soorat zamee'n ko , le liya mujh se tujh naazni ko
ye na samjha ke ro'egi madar, Ghar chalo shaam hoti hai asghar
Paani mangwaao apne chacha se , sab tadapte hai qaime me pyaase
Tum bhi peena sabho'n ko pilaakar, Ghar chalo shaam hoti hai asghar
Laa diya kya shahedee'n ne paani, Kis tarah tum ko chain aaya jaani
Ya mila quld me aabe kousar, Ghar chalo shaam hoti hai asghar
Ro ro kehti thi baali sakina, bhaiya paani akele na peena
Hum bhi pyaase bohot hai baraadar, Ghar chalo shaam hoti hai asghar
Soona jungle hai aur raat kaali, aaj hoega maidaan khaali
kooch karne ko hai yaa'n se lashkar, Ghar chalo shaam hoti hai asghar
Kat gaya sar imaame zaman ka , ho gaya qaatema panjetan ka
Koi waaris nahi hai saro'n par, Ghar chalo shaam hoti hai asghar