Wo chhe mahine ka sin aur wo tashnagi ka safar
Zaba'n ka pherna paiham sulagte honton par
Ghareeb Maa ki nigaahon me hai ye sab manzar
Kahe to kis se kahe dil pa chalte hain khanjar
Rabab karti hai faryaad margaye Asghar
Tadapna Baap ki aawaaz par wo Asghar ka
Sada wo sunte hi Halmin ki muztarib hona
Wo kamsini wo atash wo Sagheer ka jazba
Wo girna jhoole se jaana wo Sheh ke haathon par
Rabab karti hai faryaad margaye Asghar
Pehen ke nikla tha maqtal ko wo naya kurta
Ye kya hua ke wo kurta lahu se surkh hua
Guluwe khushk pa kaisa sitam ka teer laga
Qaraar aayega ek Maa ke dil ko ab kyun kar
Rabab karti hai faryaad margaye Asghar
Har ek Bibi ka is Gham se hai ajab aalam
Tasalli deti hai Zainab Rabab ko paiham
Lahu rulaati hain yaadein Sagheer ki har dam
Nigaah padti hai jis waqt khaali jhoole par
Rabab karti hai faryaad margaye Asghar
Rasheed baade Shahadat ajeeb zulm hua
Lahad me chayn se wo jhoole waala so na saka
Nikala qabr se zaalim ne us ko zib'ha kiya
Sina kinok pa dekha gaya wo phool sa Sar
Rabab karti hai faryaad margaye Asghar