Kanz e Aza

SHAHEED HOGAYE MOULA UJAD GAYA KUFA

A noha for Hazrat Ali (a.s), written by Rasheed Shaheedi and recited by Anjuman e Parwana e Shabbir. Lyrics in Roman Urdu.

Tadap ke kehti thi Zainab ye kya hua Bhayya

Hamare Baba ke Sar ko ye kisne zakhmi kiya

Abhi abhi to gaye the Khuda ke ghar Baba

Ye ek Namaazi pa Masjid me kaisa zulm hua


Shaheed hogaye Moula Ujad Gaya Kufa


Dar e Ali pa hai Kufe ke bekason ka hujoom

Pachhaadein khaati hai Zainab tadapti hai Kulsoom

Jo guzri hai Dil e Abbas par kise maaloom

Shafeeq Baap ka sar par nahi'n raha saaya


Shaheed Hogaye Moula Ujad Gaya Kufa


Ameer tha Wo ghareebon ka chaahne Waala

Wo jo yateemon ka aur bekason ka waaris tha

Usi ko Sajde me zakhmi kiya hai waawaila

Saro'n ko peet ke Hasnain karte hain girya


Shaheed Hogaye Moula Ujad Gaya Kufa


Andheri Shab meWo duniya ka MaalikoMukhtaar

Ghareebon aur yateemon ka moniso Gham khwaar

Uthaaye pusht pa khud Rothiyon ka ek ambaar

Ye dekhta tha na ho shehr me koi bhooka


Shaheed Hogaye Moula Ujad Gaya Kufa


Fizaaein karti hain maatam azeem ye Gham hai

Bahaaein ashk musalsal Ali ka Maatam hai

Zameen Rothi hai chashme falak bhi purnam hai

Sar e shigaafta thaame tadapte hain Moula


Shaheed Hogaye Maula Ujad Gaya Kufa


Tadap ke Moula se Ummul Baneen ne ye kaha

Hawaale sabko Hasan ke kiya MereAaqa

Huzoor ne Mere Abbas ko nahi'n poochha

Main apne Laal ko sadge karun ke rad ho bala


Shaheed Hogaye Moula Ujad Gaya Kufa


Bitha ke pehlu me Abbas ko Ali ne kaha

Khuda se maanga tha Tujhko baraa e Karbobala

Khayaal rakhna Nabi Zaadiyon ke Parde ka

Hawaale karta hu'n Shabbir ke Tujhe Beta


Shaheed Hogaye Moula Ujad Gaya Kufa


Janaaza uth'ta hai Baitush Sharaf se Hyder ka

Hussain rote hain Abbas ko hai sakta sa

Lahad me Binte Payambar bhi karti hain giriya

Rasheed dena hai Binte Ali ko bhi Pursa


Shaheed Hogaye Moula Ujad Gaya Kufa