Kanz e Aza

Sher e Khuda ka

A noha for Imam Ali (a.s), written by Majid Raza Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

goonj rahi hai yehi awaaz e jibraeel


sher e khuda ka logon taboot utha raha hai

kufe mein charon jaanib matam hai aur aza hai


unees maahe ramzan waqte sehar ka sajda

abd e khuda ka sar aur sajda e khuda hai

sher e khuda ka logon...


sajde mein sher e haq ka sar hogaya do paara

jibreel ki sada hai har ek ro raha hai

sher e khuda ka logon...


maula hassan ne bad kar baba ko yun sambhala

zaanu e mujtaba hai aur farq e murtaza hai

sher e khuda ka logon...


shabbir ke galay ke bosay diye ali ne

chashme ali mein shayad is waqt karbala hai

sher e khuda ka logon...


saansein ruki ali ki hai shor e inal-lilaah

ro kar ali ka kunba sab ko rula raha hai

sher e khuda ka logon...


sher e khuda ki mayyat ab ghar se uth rahi hai

suye najaf janaza hyder ka jaa raha hai

sher e khuda ka logon...


abbas ro ke bolay amma yateem hoo mai

baba ka mere saaya ab sar se uth raha hai

sher e khuda ka logon...


hyder ko haye majid thi qabr to meinassar

shabbir ka to laasha ran mein pada raha hai

sher e khuda ka logon...