sila maddah ko ye midhate hyder se milta hai
ke jannat mein usay ghar mustafa ke ghar se milta hai
faqad aale nabi hai mamba e altaaf e rabbani
jise jo faiz milta hai inhi ke dar se milta hai
sila maddah ko ye...
wo barhaq janasheen hai aur pasandeeda mohajir hai
jise hijrat ka bistar marzi e daawar se milta hai
sila maddah ko ye...
risalat ki rida farshe nabi ikhlaas ka takiya
wohi paata hai teenat mein jo paighambar se milta hai
sila maddah ko ye...
may e tauheed peena hai chalo maikhana e qum mein
wahan jaam e wilayat saaqi e kausar se milta hai
sila maddah ko ye...
sar e shabbir ko nok e sina par dekhne waale
pukar uthe ye sar to musatafa ke sar se milta hai
sila maddah ko ye...
ali asghar ke laashe par jhuke hai is tarha sarwar
koi sajde mein jaise khaliq e akbar se milta hai
sila maddah ko ye...
ye deewana hai deewana wila e aale ahmed ka
yehi kehta hai jo ba-marifat jauhar se milta hai
sila maddah ko ye...