tegh sajde mein sar par ali ke lagi
haye moula ali haye moula ali…..
har namazi ke lab par hai nouha yahi
haye moula ali haye moula ali………… 1. jaan lewa bohot war ka hai asar
keh raha hai yeh jarrah sar peet kar
magz tak sar ke gehrayee hai zakm ki
haye moula ali haye moula ali………… 2. zeher aalood talwar ka zakm hai
zakm yeh la dawa war ka zakm hai
aas jeene ki ab toh nahi koi bhi
haye moula ali haye moula ali………… 3.aap ke gham mein roti hai saidaniya
peeti hai saron ko nabi zadiyan
ghar mein har simt hai ek qayamat machi
haye moula ali haye moula ali………… 4.sheher-e-kufa ka matam kada bangaya
har koi narm dil gham zada bangaya
saare kufa mein gham ki fiza chagayee
haye moula ali haye moula ali………… 5.dene ko ab dilasa jo maa bhi nahi
gham se be haal hai zainab-e-dilhazeen
peet kar sar ko roti hai kulsum bhi
haye moula ali haye moula ali………… 6.haat mein haat jisdam hasan ke diye
sounpa sabko bajuz ek abbas ke
taab abbas mein zabt ki na rahi
haye moula ali haye moula ali………… 7.jake abbas goshey mein rone lage
aansuyon se wo daman bhigone lage
aake umool baneen se yeh tab arz ki
haye moula ali haye moula ali………… 8.sunke umool baneen se yeh bole ali
hai fazilat alag sab se abbas ki
saamne aankhon ke karbala aagayee
haye moula ali haye moula ali………… 9.pyaas ko deke ahsaas ke hath mein
paas bulwake abbas ke haath mein
haath shabbir ka deke bole ali
10.aye mere shair hai yeh wasiyat meri
karna tujhko hifazat hai shabbir ki
roye abbas se kehke moula ali
haye moula ali haye moula ali………… 11.gham mein moula ke ranjoor hai har koi
lag raha hai yeh ashoor ki hai ghadi
har koi keh raha hai hasan ab yahi
haye moula ali haye moula ali…………