ya ali ya hussain ya abbas
1. asr e ashura ye zainab ne kaha
ek din mein lut gaya kunba mera
ho gayi ham par sitam ki inteha
ya ali ya hussain ya abbas
2. chadare sar se hamari chin gayi
har khadam pe zulm karte hain layee
puchne wala bhi ab koi nahin
ya ali ya hussain ya abbas
3. meri baazoo mein bandhi hai reesma
pusht per hai taziyano ke nashan
dasht-e-ghurbat me hai zainab be ama
ya ali ya hussain ya abbas
4. karbala ke ban mein the zainab ke bain
ro rahe hain khoon ke aansoon mashraqain
kis tarha ayega mere dil ko chain
ya ali ya hussain ya abbas
5. karbala ta shaam hai gham ka safar
haye naizon par shaheedon ke wo sar
bibiyon ke chak hai gham se jigar
ya ali ya hussain ya abbas
6. le gaye ahle sitam bazar mein
the aseer-e-gham sabhi aazar mein
hum ko jana hi pada darbar mein
ya ali ya hussain ya abbas
7. shaam ke darbar mein hain dakhela
kaise jao main nahi sar par rida
monis-o-yawar nahi koi mera
ya ali ya hussain ya abbas
8. the sakina par sitam har dam naye
chin gaye gauhar tamache bhi lage
zulm se ruksaar neele hogaye
ya ali ya hussain ya abbas
9. kya sunao kaifiyat zindan ki
dekh kar haalt sakina jaan ki
ro rahe the aayate quraan ki
ya ali ya hussain ya abbas
10. baniya nauha hai al-abbas ka
khoob razvi aur nazar ne hain likha
sadqe dil se isko padte hain raza
ya ali ya hussain ya abbas
ya ali ya hussain ya abbas
ya ali ya hussain ya abbas