Kanz e Aza

Ya Ghareeb Hussaina

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

assalamun alayk ya ghareeb hussaina


tha yehi ran my ghazi ka nauha

bedast hokar girta hoo maula

ye dard mujhko marne na dega

takti hai rasta bali sakina

aao madad ko ay ibne zehra

assalamun alayk...


zainab ne usko naazon se paala

usne jo khaaya seene pa naiza

jalti zameen par girke pukara

zakhme jigar ko maa se chupana

aao madad ko ay ibne zehra

assalamun alayk...


hay hay wo asghar cheh maah waala

ghutno ke bal bhi jo chal na paaya

uska badan jo naize pa dekha

baba ke sar se boli sakina

aao madad ko ay ibne zehra

assalamun alayk...