Kanz e Aza

Ya Ghazi

A noha for Moula Abbas (a.s), written by N. Sarwar, J. Jaffri & A.Jee (2022). Lyrics in Roman Urdu.

ya ghazi ya maula

sab ka sahara maula

abbas abbas abbas abbas


sadaat ka pyara ya ghazi

maula hai hamara ya ghazi

sab ne hai pukara ya ghazi


har dil ka sahara ya ghazi

har lab pe hai naara ya ghazi

abbas ya abbas ya abbas ya abal fazl

abbas ya abbas ya abbas


jab paak alam lehrata hai

mujhe yaad tu ghazi aata hai

mere dil ka wazeefa ya ghazi

hai mera aqeeda ya ghazi


sadaat ka pyara ya ghazi

maula hai hamara ya ghazi

sab ne hai pukara ya ghazi

sab ne hai pukara ya ghazi


har dil ka sahara ya ghazi

har lab pe hai naara ya ghazi

abbas ya abbas ya abbas ya abal fazl

abbas ya abbas ya abbas


sultan e wafa ghazi maula

jageer tumhari karbobala

rauze pe bulana ya ghazi

jageer dikhana ya ghazi


har dil ka sahara ya ghazi

har lab pe hai naara ya ghazi

ya ghazi ya maula

sab ka sahara maula

ya maula abbas ya maula abbas

abbas ya abal fazl abbas ya abal fazl


sadaat ke dil ki aas ho tum

zehra ki dua abbas ho tum

zainab ne hai paala ya ghazi

shabbir ka saaya ya ghazi


sadaat ka pyara ya ghazi

maula hai hamara ya ghazi

sab ne hai pukara ya ghazi


har dil ka sahara ya ghazi

har lab pe hai naara ya ghazi

ya maula abbas ya abbas ya abbas

abal fazl abbas ya abbas ya abbas


abbas teri azmat ki qasam

ooncha hi sada dekha hai alam

teri shaan hai aala ya ghazi

tera bol hai baala ya ghazi


har dil ka sahara ya ghazi

har lab pe hai naara ya ghazi

ya ghazi ya maula

sab ka sahara maula

ya maula abbas ya maula abbas

abbas ya abal fazl abbas ya abal fazl


jab mashk o alam ki baat chali

masoom sakina yaad aayi

bachi ka wo rona ya ghazi

ro ro ke bulaana ya ghazi


sadaat ka pyara ya ghazi

maula hai hamara ya ghazi

sab ne hai pukara ya ghazi


har dil ka sahara ya ghazi

har lab pe hai naara ya ghazi

ya maula abbas ya abbas ya abbas

abal fazl abbas ya abbas ya abbas


tere baad hussain huwe tanha

laakhon ne ghareeb ko ghayr liya

sayyed ka tha nauha ya ghazi

bhai hai bichadta ya ghazi


har dil ka sahara ya ghazi

har lab pe hai naara ya ghazi

ya ghazi ya maula

sab ka sahara maula

ya maula abbas ya maula abbas

abbas ya abal fazl abbas ya abal fazl