yaad laila ko jawan' bete ki tadpati hai
jab bhi masjid se azaano'n ki sada aati hai
roze aashoor jo maqtal me sada goonji thi
ab bhi mehfoos hai dil me wo azaa'n akber ki
dil tadapta hai to khoo'n aankho'n se barsaati hai
jis ko armanou se atthara baras pala tha
dasht me jalti zamee'n par tha usi ka lasha
siskiyaa'n leke wo zainab se lipat jaati hai
dard aisa hai bhala khud ko sambhale kaise
jab mussale pe wo aati hai ibadat ke liye
muztarib hoti hai deewaro'n se takraati hai
shadi akber ki karu'n thi ye tammana meri
karbala me hai magar lutgayi duniya meri
khud se tanhaayi me roro ke ye farmaati hai
ghar to veeran huwa jaan jo akber ne di
haa'n magar deen-e-mohammed ko jawani dedi
apne dil ko yehi kehti huwi samjhaati hai
gham wo paya hai ke nazro'n me dhuwa'n hai abtak
qalb-e-madar mai jo paiwast sina'n hai abtak
kabhi roti kabhi ghash khaake wo girjaati hai
charsoo ab hai andhera ke ujaala na raha
haaye ghurbat ke zaeefi ka sahara na raha
sonchte sonchte ek dam se wo ghabraati hai
kya baya'n honge bhala hamse masayeb wo kamaal
baad-e- akber tha qayamat umme laila ka haal
wo tadap ab bhi azadarou ko rulvaati hai