bemisl hai do jahan mein jo hai sher e karbala
kar gaya deen e nabi pe dono baazu jo fida
ye alam abbas ka deen ki pehchaan hai
adam o eesa nabi sab ambiya ki shaan hai
hashr mein aayenge momin is alam ke saaye mein
qayam e mehdi hamara waaris e eeman hai
adam o eesa nabi sab ambiya ki shaan hai
ye alam abbas ka...
dekha na jaanbaz aisa lashkare islam mein
dono baazu kar gaya jo deen pe qurban hai
adam o eesa nabi sab ambiya ki shaan hai
ye alam abbas ka...
lo khabar behno ki ghazi chadarein bhi lut gayi
fatema zahra ka ghar jo ho gaya veeran hai
adam o eesa nabi sab ambiya ki shaan hai
ye alam abbas ka...
dekh kar abbas ko mehsoos karte thay hussain
ye jalaal e sher e yazdan sayyeda ki jaan hai
adam o eesa nabi sab ambiya ki shaan hai
ye alam abbas ka...
ye sharaf zahra ke dar se mil gaya hubdaar ko
matam e shabbir mein ye nauhagar irfan hai
adam o eesa nabi sab ambiya ki shaan hai
ye alam abbas ka...