zehra ki sada hai wawaila
ye karbobala hai wawaila
taraaj huwa farwa ka chaman
jo maara gaya hai ibne hasan
pamaal huwa qasim dulha
ye karbobala hai wawaila
akber ke jigar me barchhi hai
laila jo pisar ko roti hai
dekha nahi jaata hai rona
ye karbobala hai wawaila
abbas pade hai'n dariya par aur bhai ko rote hai'n sarwar
karti hai sakina ab girya
ye karbobala hai wawaila
shabbir jo rukhsat hote hai'n
masoom lipat kar rote hain
kehte hai na jao aye moula
ye karbobala hai wawaila
kehti hai sakina ab rokar
mai soti rahi hoo'n seene par
soungi mai kaise aye baba
ye karbobala hai wawaila
amma ka kaleja phat-ta hai
bete ka gala jo kat-ta hai
pyaase pa jafa hai wawaila
ye karbobala hai wawaila
dil thaam ke rote hain sarwar
bejaan huwa hai jo asghar
pyaasa hi raha dil sarwar ka
ye karbobala hai wawaila