Kanz e Aza

Zainab ka Jo Abbas

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Arif Sahab. Lyrics in Roman Urdu.

zainab ka jo abbas tha lashkar ke barabar

us ki bhi lehad ban gayi asghar ke barabar


wo sher gira khaak pe jab pushte faras se

be dast pe talwaar o sina teer thay barse

wo waqt tha shabbir pe mehshar ke barabar

us ki bhi lehad ban gayi...

zainab ka jo abbas tha...


tukdon may jo shabbir ka abbas bata tha

elaan sar e dasht ye tab karte thay aada

badle bhi huwe badr ke khyber ke barabar

us ki bhi lehad ban gayi...

zainab ka jo abbas tha...


gehna gaya ban may bani hashim ka qamar bhi

baad us ke jhuki karb se maula ki kamar bhi

jo waaste behno ke tha chadar ke barabar

us ki bhi lehad ban gayi...

zainab ka jo abbas tha...


naize se bhi abbas ka sar girta raha tha

dar asl taqaza tha ye aaqa se wafa ka

kaise wo teharta sar e sarwar ke barabar

us ki bhi lehad ban gayi...

zainab ka jo abbas tha...


be-baazu tha be-sar bhi tha be-ghusl o kafan tha

rab jaane usay kis tarha abid ne samayta

tadfeen sar e dasht ki tukdon ke barabar

us ki bhi lehad ban gayi...

zainab ka jo abbas tha...


shabbir ke lashkar may sab as'haab jari thay

ye wasf magar khaas tha abbas ka haye

lagta tha akela wo bahattar ke barabar

us ki bhi lehad ban gayi...

zainab ka jo abbas tha...


jo bughz mohamed se tha zehra o ali se

mazloom hassan aur hussain ibne ali se

ghazi se liye badle bhare ghar ke barabar

us ki bhi lehad ban gayi...

zainab ka jo abbas tha...


nauhe ko sahab ek hi misre may utaara

jab shadman ye rauza e abbas pe bola

haq tha ke lehad ho teri hyder ke barabar

us ki bhi lehad ban gayi...

zainab ka jo abbas tha...