zainab ko na bhoolega abbas ka mar jaana
pardes mein ghurbat mein bhai se bichad jaana
manzar ye sina par bhi ghazi ko rulaata hai
zainab tera majme se beparda guzar jaana
zainab ko na bhoolega...
maa kehti hai ghazi ki hai maut wafaon ki
abbas tere hote shabbir ka mar jaana
zainab ko na bhoolega...
abbas wafa teri is baar se zaahir hai
honton ko liye tishna pani mein utar jaana
zainab ko na bhoolega...
kehti thi sakina ye abbas ke laashe par
mumkin hi nahi mera ab laut ke ghar jaana
zainab ko na bhoolega...
bhoolega na mehshar tak ghazi ko tere sar se
darbar e sharabi mein chadar ka utar jaana
zainab ko na bhoolega...
ta hashr yuhin mohsin hamraah mazahir ke
shabbir ka gham karna tum dono jidhar jaana
zainab ko na bhoolega...