Kanz e Aza

Hussain Bas Hussain

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Mazahir. Lyrics in Roman Urdu.

shaheed e karbala hussain

mazloom e karbala hussain

ghareeb e nainawa hussain

hussain bas hussain


shahadaton ke chaman mein gulon se leke kali tak

namood e hazrate aadam se leke sher e jali tak

azan e shakle nabi se namaz e binte ali tak

pukaar uthi hai karbala

hussain bas hussain...


ghamon ki amaan pe kuch aisi chaayi hai ghata

haya labon pe hai tapish misaale arze karbala

kadakti dhoop mein koi hai rayt par jhuka hua

har ek zarra keh utha

hussain bas hussain...


sina kaleje se akbar ke khaynchli hussain ne

ragadti aediyan bete pe nigaah ki hussain ne

magar ye hausla allah ke uff na ki hussain ne

khaleel ne ye di sada

hussain bas hussain...


badhi bujhane ko asghar ki pyaas fauje ashkiyan

bajaye aab utaara galay mein teer e hurmala

malayeka ne ibadaat tark kar ke ye kaha

ay taaj daar e karbala

hussain bas hussain...


luta ke saare naujawan haye mutmain khada

kahin hai laashe baradar kahin hai janasheen pada

meinaan e sabr dekh kar khuda ki aayi ye sada

ay mere deen ki baqa

hussain bas hussain...


zabeeh e kibriya yahan wahan shaheed e karbala

wo janasheen nabi ka to ye hai faqr e ambiya

wo ibteda thi ishq ki ye hausle ki inteha

us inteha ne di sada

hussain bas hussain...


khuda ke naam pe wo apna saara ghar luta gaya

na sirf ghar luta gaya wo apna sar kata gaya

hussain khud ujad ke deen ko is tarha basa gaya

pukari deen ki baqa

hussain bas hussain...


sina pe sheh ne jis ghadi tilawat e kalaam ki

mila jhula tha rob e bawafa o lehja e ali

tilawat e kalaam jab hussain ne tamaam ki

pukari mausuf e khuda

hussain bas hussain...


mazahir aaj bhi suno sada e zuljalaal hai

hussain be-misaal tha hussain be-misaal hai

ta hashr mohsin e hazeen yehi to la-zawaal hai

ye hai sada e kibriya

hussain bas hussain...