Kanz e Aza

Hussain Gham Mein Teray Kainat Roti Hai

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Nikal Kay Rota Hai Din Chup Kay Raat Roti Hai


Pilanay Pani Chalay Jab Hussain Asghar Ko X2

Rubab Khaimay Ki Thamay Kanaat Roti Hai X2


Tu Is Tarha Say Luta Dosh-e-Mustafa Kay Palay X2

Teri Ghareebi Pe Allah Ki Zaat Roti Hai X2


Hussain Laye Thay Qalb-e-Hassan Kay Laashe Ko X2

Dulhan Ko Dekh Ke Sari Baraat Roti Hai X2


Mila Na Pani Tujhay Fatima Kay Lakht-e-jigar X2

To Teri Pyaas Pay Nehr-e-Furat Roti Hai X2


Utha Ke Lasha-e-Akbar Yahan Se Laykay Chalay X2

Tumhari Maut Pay Akbar Hayat Roti Hai X2