hussain godh may laashe pisar jo laate hai
wo baar hoo hai ke har gaam dagmagate hai
nikaalte hai pisar ke galay se teer e sitam
ye sheh karaamat e sabr o riza dikhate hai
hussain godh may...
hussain chehra e aqdas tarz e noke charagh
lahoo se asghar e masoom ke jalate hai
hussain godh may...
ye tifle khaana e zehra hai ispe hairat kya
galay pe teer lagay phir bhi muskurate hai
hussain godh may...
lagi hai qaime ke dar par rubab ki nazrein
ke sab sagheer ko le kar hussain aate hai
hussain godh may...
chida hua hai gala phir bhi farte ulfat se
hussain laal ko apne galay lagate hai
hussain godh may...
lagaye maa hai kaleje se laashe asghar ko
hussain rayt pe nanhi lehad banate hai
hussain godh may...
jawab karz hai abid ye fauje aada par
ke cheh mahine ke bache bhi teer khaate hai
hussain godh may...