Kanz e Aza

JAAO SIDHAARO RAN KI TARAF MERE NAUNE HAAL

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Ali Irfan and recited by Anjuman e Parwana e Shabbir. Lyrics in Roman Urdu.

Maidaan me jo Shah ne halmin ki di sada

Asghar ne Apne jhoole se Khud ko gira diya

Maa ne kaha ke Tum bhi chale MereDilruba

Achha Main ye judaai bhi sehlungi MereLaal


Jaao Sidhaaro ran ki taraf Mere Naune haal


Armaa'n bahot the koi na hasrat nikal saki

Tha chaar din ka saat ye mujhko khabar na thi

Jee bhar ke pyaar bhi toMain kar paai na abhi

Beta tamaam umr rahega yehi maLaal


Jaao Sidhaaro ran ki taraf Mere Naune haal


Waat-e sehr se asr talak ghar ka ghar luta

Abbas 0 Qasim o Ali Akbar huwe judaa

Ab Tum bhi jaane waale ho Maa Tum pa ho fida

Lekin abhi bhi sabr karungi me khasta haal


Jaao Sidhaaro ran ki taraf Mere Naune haal


Jaate ho rann ko thehro Main gesu sanwaar dun

Godi meAao Tumko Main ji bhar ke pyaar dun

Ruk jaao MereLaal ke sadqga utaar dun

Apni Amaa'n me rakhe Tujhe Rabbe ZuljaLaal


Jaao Sidhaaro ran ki taraf Mere Naune haal


Jab Main watan ko laot karAye Laal jaaungi

Sughra jo Tumko poochhegi kuch keh na paaungi

Ro'ungi khaali jhoola Tumhara jhulaaungi

Deen e Rasool eHaq ki ye izzat ka hai sawaal


Jaao Sidhaaro ran ki taraf Mere Naune haal


Bechain-o beqaraar ho Tum jang ke liye

Sukhi zaba'n hai pyaase ho Tum teen roz se

Is ke siwa hain aur bhi kitne hi marhale

Tum ko magar hai maqsade Shabbir ka khayal


Jaao Sidhaaro ran ki taraf Mere Naune haal