Karbobala me kaisa ye manzar hai Ya Ali
Tashnalabi hai garmi-e mahshar hai Ya Ali
Ghere Huwe Hussain ko lashkar hai Ya Ali
Zakhmo se choor Sibte Payambar hai Ya Ali
Jalti Huwi Zameen Pa Sarwar Hai Ya Ali
Koi nahi'n jo Shaahe Huda ki madad kare
Zakhmo'n se choor khaak pa behosh hain pade
Manzar kahin ye Saaniye Zehra na dekhle
Seene pa ab sawaar sitamgar hai Ya Ali
Jalti Huwi Zameen Pa Sarwar Hai Ya Ali
Khaimo me hai buland sada shoro shain ki
Koi nahi'n jo laaye khabar ab Hussain ki
Haalat hai Ghair Fatima ke Noore Ain ki
Bechain Qalbe Zainabe Muztar hai Ya Ali
Jalti Huwi Zameen Pa Sarwar Hai Ya Ali
Sabro Riza ka Qafela Saalaar ghash me hai
Mushkil Kusha-e manzilo dushwar ghash me hai
Shabbir zere tegh hain Bimar ghash me hai
Kaisa ye asre tang ka manzar hai Ya Ali
Jalti Huwi Zameen Pa Sarwar Hai Ya Ali
Sibte Nabi pa toot pade hain sitam sheyaar
Har simt se hai naiza-o teero tabar ke waar
Kuch jholiyon me laay hain patthar gunaahgaar
Chaaron taraf se zulm barabar hai Ya Ali
Jalti Huwi Zameen Pa Sarwar Hai Ya Ali
Zakhmi hai khaako khoon me ghalta'n hai sab badan
Wo pyaas hai ke kar nahi'n sakte koi sukhan
Shukre Khuda me doob gaye hain Shahe Zaman
Kis haal me ye Aapka Dilbar hai Ya Ali
Jalti Huwi Zameen Pa Sarwar Hai Ya Ali