kata jo din to jafa fauj ki tamaam hui
charagh bujh gaya zehra ka jab to shaam hui
shaheed so gaye jangal may sar ko katwa ke
khayaal aaya nishan ka na fikre naam hui
kata jo din to...
sada ye deti thi maa apni godh phailaye
ab aao ay ali asghar ke ran may shaam hui
kata jo din to...
sipaah roke rahi qatl gaah ka rasta
behan na bhai se maqtal may hum kalam hui
kata jo din to...
sina may maa ne bandhe dekhe gaysu e akbar
jawan ke byah ki yun aarzu tamaam hui
kata jo din to...
bhari jo raando ne aahein to aandhiya uthi
khule jo baal haram ke to ran may shaam hui
kata jo din to...
daba ke haat se seena qaza ki akbar ne
khatak ani ki unhe maut ka payaam hui
kata jo din to...
na thay charagh bhi bewarison ke baali par
udaasi aur badhi dasht may jo shaam hui
kata jo din to...
kata jo din to jafa fauj ki tamaam hui
charagh bujh gaya zehra ka jab to shaam hui
kata jo din to...