Kanz e Aza

Kya Kare Zainab

A noha for Shaam e Ghareeba, written by Zeeshan Abidi (2025). Lyrics in Roman Urdu.

shaam e ghariban shaam e ghariban


jal gaye qaime so gaya lashkar

lut gaya saara ghar zainab ka ab hai tanha

na sarwar hai na akbar hai na ghazi hai


layeen naize se chadar cheenta hai kya kare zainab

thi jis bhai se dhaaras mar gaya hai kya kare zainab


manata hai khushi zaalim dikhata hai mujhe khanjar

bula abbas ko apne ye kehta hai wo has has kar

lahoo chadar se meri pochta hai kya kare zainab

layeen naize se chadar...


teri har zarb ka ghazi behan se lega wo badla

layeen qaime mein aaya hai uthakar haath mein durra

tumhi binte ali ho poochta hai kya kare zainab

layeen naize se chadar...


badi ghurbat ka aalam hai bandhe hai haath gardan se

bujhaye aag wo kaise sakina tere daaman se

aur ab zaalim tamacha maarta hai kya kare zainab

layeen naize se chadar...


kaha zainab ne abid se imam e waqt batlaye

yahin qaimon mein jal jaaye ya hum baahar nikal jaaye

utho sajjad mushkil marhala hai kya kare zainab

layeen naize se chadar...


kaha ye saad ke bete ne aa kar ibne naufil se

safar mein chaahe sab soye magar zainab nahi soye

abhi se warm rukh par aagaya hai kya kare zainab

layeen naize se chadar...


usay ek maa ki tarha apne seene se laga leti

rasan haathon mein na hoti to girne se bacha leti

sar e ghazi sina se gir raha hai kya kare zainab

layeen naize se chadar...


koi apna nahi tanha khadi hai dasht mein dekho

kafan kaise de atthara bani hashim ke laashon ko

madina to nahi ye karbala hai kya kare zainab

layeen naize se chadar...


kahan ho laal aajao tumhe maa yaad karti hai

uthakar raakh haathon mein rabab ek simt baithi hai

ali asghar ka jhoola jal chuka hai kya kare zainab

layeen naize se chadar...


hai pehli shab yateemi ki usay neend aayegi kaise

ay zeeshan o raza baali sakina soti thi jis pe

wo seena ran mein teeron se bhara hai kya kare zainab

layeen naize se chadar...