Kanz e Aza

Kya Yateemi Hai

A noha for Shaam e Ghareeba, written by Jaffer Tashna. Lyrics in Roman Urdu.

haye jab shaam e ghariban ka andhera chaaya

dhoondne baap ko maqtal may gayi ek dukhiya

darmiyan laashon ke ek laasha e besar dekha

aayi us laash se awaaz sakina aaja

jab suni baap ki awaaz to royi bacchi

laash e besar se lipat kar ye fughan karne lagi


aap ke baad ye ehsaas hua hai baba

kya yateemi hai ye ab mujhpe khula hai baba


aag daaman may lagata hai sitamgar koi

koi kaano se gohar cheen raha hai baba

kya yateemi hai...

aap ke baad...


haath kaano pe dhare di ye sakina ne sada

khoon is khaak may mera bhi mila hai baba

kya yateemi hai...

aap ke baad...


aap pehchaan na paoge yaqeen hai mujhko

haal jo aap ki beti ka hua hai baba

kya yateemi hai...

aap ke baad...


zibha se pehle tujhe pani diya zaalim ne

ya gala khusk tera kaata gaya hai baba

kya yateemi hai...

aap ke baad...


looto sadaat ko abbas nahi hai baaqi

shor hai samt yehi goonj raha hai baba

kya yateemi hai...

aap ke baad...


mera pehlu bhi hai dadi ki tarha se zakhmi

pursa ummat ne ye mujhko bhi diya hai baba

kya yateemi hai...

aap ke baad...


uthke ammu se mere kehdo ke ab aajaye

dashte pur haul may dam ghutne laga hai baba

kya yateemi hai...

aap ke baad...


aaj sar rakh ke sakina kahan soye bolo

saara seena tera teeron se chida hai baba

kya yateemi hai...

aap ke baad...


tashna sehne hai sitam mujhko sitamgaaron ke

shaam tak ab ye muqaddar may likha hai baba

kya yateemi hai...

aap ke baad...