Ek Qayamat ka sama tha Nainawa ke farsh par
Zalzale me thi zamee'n aur Ambiya the Nouha gar
Laasha-e Sarwar padi thi sar se pa tak khu'n me tar
Noke naiza par pada tha Jaane PaiGhambar ka sar
Lut gaya Karbobala ke dasht me Zehra Ka Ghar
Zulm badhta hi gaya Shaam e Ghariba'n aagayi
Aag khaimo'n me lagi har simt dehshat chhagayi
Bebasi par Bibiyo'n ki bekasi tharra gayi
Khuld ki Shahzadiya'n Baithi Huwi thee'n khaak par
Lut gaya Karbobala ke dasht me Zehra Ka Ghar
Lut gaye khaime ridaae'n chin gayi'n bistar jala
Aise Aalam me Amal tha Abid e Bimar ka
Sajda e Khaliq me Sar tha Lab pa tha Shukre Khuda
Aur Nazar ke saamne naize pa tha Baba Ka Sar
Lut gaya Karbobala ke dasht me Zehra Ka Ghar
Jalte khaimo'n ka koi ehsas Laila ko na tha
Ankh me aa'nsu na thhe lekin jigar tukde huwa
Umr bhar is Madare dukhya ko sakta sa raha
Naojawa'n Bet eke marne ka huwa tha ye asar
Lut gaya Karbobala ke dasht me Zehra Ka Ghar
Sabr ka wada kiya tha yu'n nibHaay thi Rabab
Dil me Apne dard ki dunya basaae thi Rabab
Jalte Jhule par Nigaho'n ko jamaae thi Rabab
Ashk aankho'n tak jo aaye pigayi wo Nouhagar
Lut gaya Karbobala ke dasht me Zehra Ka Ghar
Har taraf chhaya tha manzar dardo Gham ka pyaas ka
Har qadam har ek zaba'n par naam tha Abbas ka
Ab kisi ke honto'n par shikwa nahi'n tha pyaas ka
Sogaye Abbas jo Shaane kata kar Nahr par
Lut gaya Karbobala ke dasht me Zehra Ka Ghar
Is qadar zulmo sitam par hil gaya Arshe Ula
Kis tarah dekho Yatime Shah ko pursa mila
Chhin gaye gowhar tama'nche bhi lage kurta jala
Koun ab Baali Sakina ki bhala lega khabar
Lut gaya Karbobala ke dasht me Zehra Ka Ghar
Bhai the atthara uske ab hai bewaris Bahan
Koun de Zainab ko pursa sabko hai ranjo mehan
Wariso'n ke Laashe maida'n me pade hain bekafan
Sabke shano me rasan hai sabke sar hain bekafan
Lut gaya Karbobala ke dasht me Zehra Ka Ghar
Haal Farwa aur Kubra ka likhe to kya likhe
Us taraf dono ki nazro'n ke ruke the zaawiye
Jis taraf rakhe the tukde Qasime Noushah ke
Khoon ke aa'nsu abhi tak rorahe hain Behrobar
Lut gaya Karbobala ke dasht me Zehra Ka Ghar
Ye Karam ki inteha hai ham pa Rabbe Zuljalal
Ye to bas Teri Ata hai Fatima Zehra ke Lal
Nouhakhwani ka sharaf Ahsan mila jo lazawaal
Jaake ye Nouha padenge ham Ali ki Qabr par
Lut gaya Karbobala ke dasht me Zehra Ka Ghar