Kanz e Aza

SAKINA KEHTI THI ROKAR MERE BHAYYA ALI ASGHAR

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Hasan Abbas Ahsan and recited by Anjuman e Parwana e Shabbir. Lyrics in Roman Urdu.

Sakina kehti thi rokar MereBhayya Ali Asghar

Huwi hai raat aaja ghar MereBhayya Ali Asghar

Wo Nanha sa gala chheda jise teere sitamgar ne

Usi par phir chala khanjar Mere Bhayya Ali Asghar


Sitamgaaron ne jhula bhi nahi'n chhora jala daalaa

Pachhaadein khaati hai MaadarMere Bhayya Ali Asghar

Machalna pyaas ki shiddat se Tera hichkiyaan Lena

Nighaahon me hai wo manzar Mere Bhayya Ali Asghar


Andheri qabr hai pehlu hai Maa ka aur na jhoola hai

Tujhe neend aaegi kyun kar Mere Bhayya Ali Asghar

Bohat samjhaya Zainab ne Sakina ko magar Ahsan

WoRothi thi yehi keh kar Mere Bhayya Ali Asghar